Aakash aur dharti ke raja ki jai
Verse 1को. आकाश और धरती के राजा की जय
जय जय पुकार जय जय पुकार
सारी जमीन की सारी प्रजा
येशू की जय जय जय जय पुकार
Verse 2दुनिया का रचने वाला वही
भक्तों के दिल का उजाला वही
पपिन कारण जन्मा वही
सूली पर चढने वाला है
Verse 3वही है मेरे जीवन का मान
मेरा उध्दार और मेरी चटटान
हाथों मे उसके है किश्ती मेरी
आने दो आता मगर यह तूफान
Verse 4दुखः मे और सुःख मे वह साथी रहा
राहों मे जीवन की संग वह चला
उसकी रही हन पर कृपा बडी
जीवन मिला तो उसीसे मिला
Verse 1Ko. Aakaash aur dharti ke raaja ki jai
Jai jai pukaar jai jai pukaar
Saari zameen ki saari praja
Yeshu ki jai jai jai jai pukaar
Verse 2Duniya ka rachne waala wahi
Bhakton ke dil ka ujaala wahi
Paapin kaaran janma wahi
Sooli par chadhne waala hai
Verse 3Wahi hai mere jeevan ka maan
Mera uddhaar aur meri chattaan
Haathon mein uske hai kishti meri
Aane do aata magar yeh toofaan
Verse 4Dukh mein aur sukh mein woh saathi raha
Raahon mein jeevan ki sang woh chala
Uski rahi hum par kripa badi
Jeevan mila toh usise mila
Download Song