Verse 1Din aaye din jaaye
Beeta hua har din
Teri maut paas laaye
Verse 2Soch le tu insaan, kya marne ke baad hoga
Zinda khuda ke saamne, jab nyay tera hoga
Jeevan ki kitaab khulegi, har panna palta jaaega
Kya tu usi kitaab mein
Verse 3Tera naam paaega
Gar tera naam hoga, tu swarg mein jaaega
Gar tera naam na ho to
Tujhe narg jaana hai
Verse 4Gar saara jag tu kamaaega
Aur khud ki jaan gavaaega
Ismein tera kya hai laabh, aaj sochna hai
Ye jeevan hai hi kya, ik bhaap ke samaan
Pal bhar jo dikhaai deti, phir kho jaati hai
Verse 5Jaane kahaan jaati hai
Thoda samay hai baaki
Yeshu ko apna le saathi
Naam leke tera vo kabse tujhko pukaare
Tujhko paas bulaae