Verse 1Jaago sonwalo waqt ab jaane laga
Aaj tumko jagaane koi aaya hai
Zindagi mein kisi ki suni na suni
Tumhe vachan sunaane koi aaya hai
Verse 2Jab din ka ujaala badhne laga
Ghaflat mein pade kyon sone lage
Har dum koi tumko jagaane aaye
Kabhi jaag uthe phir sone lage
Aiso ko nateeja kuch na mile
Tumhe yaad dilaane koi aaya hai
Verse 3Duniya mein tumne paap kiye
Apne liye maut kabhi hai
Phir man ki shanti paane mein
Yun saari umr gawaai hai
Marne se pehle zara sun lo
Tumhe maut se bachaane koi aaya hai
Verse 4Aa jaao Yeshu ke kadmon mein
Chhodo ye duniya ki baatein
Jo na maane mit jaate hain
Jo bach jaate jeevan paate
Aisa na samay phir aaye kabhi
Tumhe jeevan dilaane koi aaya hai