Verse 1Kaisa Pitaa ka Pyaar hai
Napayi se hai yeh apaar
Ik lauta beta dekar hai
Mujh neech ka kiya uddhar
Verse 2Kitna bada woh dard tha
Pita bhi jo muh pher liye
Har ghaav jo Yeshu ne saha
Laya santaan Mahima ke
Verse 3Dekho use jo kroos par
Kaandhon par uske mera paap
Laaj bhari meri awaaz
Tiraskari dushton ke saath
Verse 4Jakde use tha, mera paap
Jab tak haasil na huva uddar
Meri jaan layi bujhti saans
Mai janoon Kaam hua samapth
Verse 5Ghamand mera kuch bhi nahi
Na taufe, bal, ya buddhi mein
Garv karun sirf Yeshu ke
Mrityu, punaruthaan mein
Verse 6Kyon paaon main uska inaam?
Iska koi uttar nahi
Par samajhe mere dilojaan
Un gaavon ne chukaaya he daam