Verse 1Koi hamein duniya mein, khuda ki
Mohabbat se kar nahin sakta juda
Khuda ki huzoori se, rooh ki maamuri
Se kar nahin sakta juda
Na ghabrana farmaya hai usne - 2
Hoon main tera khuda
Verse 2Toofan aur aandhi mein, maut ki waadi mein
Saath rahega sada
Chaahe koi ho na ho, saath chalega woh
Kabhi na hoga juda
Har safar mein mera hamsafar woh
Woh yehova shamma
Verse 3Tune hi bachaya hai, gunaah se chhudaaya
Hai door kiye saare gham
Karte hain vaada yeh, jab tak hai dam mein
Dam tujhko na chhodenge hum
Raah, haq, zindagi yeshu hi hai
Jaayein toh jaayein kahaan