Verse 1Man mandir mein basne wala,
Yeshu tu hai nirala
Verse 2Jiske man mein tu janam le
Avinashi anand se bhar de
Aadi anant aur preet reet ki
Jal jayegi jwala -2
Man mandir mein...
Verse 3Moosa ko tune paas bulaya
Swarg lok ka bhavan dikhaya
Maha pavitra sthaan mein rehkar
Aap hi use sambhala - 2
Man mandir mein...
Verse 4Paap mein duniya doob rahi thi
Param pita se door hui thi
Mahima apni aap hi taj kar
Roop manushya le aaya - 2
Man mandir mein...
Verse 5Prem humein anmol dikhaya
Prem ki khatir rakt bahaya
Kroos par apni jaan ko dekar
Maut se humein chhudaya -2
Man mandir mein...
Verse 6Har vishvasi prem se aaye
Khushi se apni bhent chadhaye
Andhkaar ab sab door huye hain,
Man mein hua ujala -2
Man mandir mein...