Verse 1Mera bharosa Yeshu Mein hai,
Dhanya hoon main Dhanya hoon main
Tasalli mujhko woh deta hai,
Dhanya hoon main Dhanya hoon main
Verse 2Andhere raaho mein main chalte waqt,
Prabhu ke charano mein girr padta hoon,
Karunamay Prabhu apne haathon se,
sambhalega mujhe sambhalega
Verse 3Kalvari Yeshu mera Prabhu,
Mrityu se wo jee utha hai,
Mrityu ke upar jai paaya Yeshu
Mera Prabhu, Mera Prabhu
Verse 4Kitna main dhanya is jag mein,
Aur kahin nahi mil sakta hai,
Anand ki bharpuri Yeshu mein milti hai,
aasun bhara jeevan iss jag mein