Verse 1Ko - mera masih, pyara masih
Laakhon mein mera pyara masih
Mera akela sahara vahi
Verse 2A. Sab log dekhe aur sab ko pehchana
Kaam na aaye koi --2
Meri tamanna ko puri kare kaun,
Keval tere sivay!
Shanti tu hi, marg sahi
Jeevan aur satya vahi
Dilvar vahi, sub ka nirala sitara vahi
Mera akela sahara vahi!
Verse 3Ba. Swarg, aakash aur zameen narak tak
Koi bhi naam nahin!
Mukti ka data aur sota daya ka,
Har dukh mein sahara tu hi,
Aansu mita, dil mein tu aa,
Baaho mein le yahi dua hai khudavand meri,
Tu hi akela sahara rabbi!
Verse 4Ka. Jangal ke vrikshon par dali nazar jab,
Sebon ka ped vahi
Phoolon mein ek hi, gulab saman vah
Nyara hai mera samih,
Alpha vahi, omega vahi, aadi aur ant vahi,
Pavitra vahi, raja dhiraja parmeshwar vahi
Sabse anokha mahan vahi!