Verse 1Mere mehboob pyare masihah
Kis jagah tera jalwa nahin hai
Kis jagah teri shohrat nahin hai
Kis jagah tera charcha nahin hai
Verse 2Log peete hain aur gir jaate hain
Mai peeta hoon girta nahin hoon
Main to peeta hoon dar se masih ke
Wo angooron ka seera nahin hai
Verse 3Aankh walon ne tujhko hai dekha
Kaan walon ne tujhko suna
Tujhko pehchante hain wo inshaan
Jinki aankho mein parda nahin hai
Verse 4Jismein shamil na ho ishq tera
Wah parastish, parastish nahin hai
Tere kadmon pe hota nahin jo
Koi sijda wah sijda nahin hai
Verse 5Mar gai thi wah yaair ki beti
Tune uspe nigahein karam ki
Kar diya usko zinda yeh kehkar
Ye to soti hai murda nahin hai
Verse 6Main to deta hoon uski gawahi
Maine zindagi masihah se paayi
Ab to zindagi hai tere hawale
Main to tera kisi ka nahin hoon