Verse 1Mubaarak hai jiske gunaah dhul gaye
Bakhshi gayi jiski har ek khata
Shukriya ae Khuda 3
Verse 2Mai jitna khamosh raha
Mera gham utna hi badha
Raat aur din mujh par ae Khuda
Haath tera bhari tha
Verse 3Maine apni khata ko maana
Apni badkaari ko jaana
Mere Khudaaya meri khata ko tune maaf kiya
Shukriya ae Khuda 3
Verse 4Paas hai mere jab tu Khuda
Kyon na karoon mai tujh se dua
Meri hifaazat har gham se
Tu meri chhipne ki jagah
Verse 5Aazaadi ke naghme dega
Kis raah pe chalna hai kahega
Teri nazar ab mujhpe hogi tune vaayda kiya
Shukriya ae Khuda 3