Verse 1Shanti se bharpur Yeshu
Apni shanti diye jata hai
kaun hai ashant yahan
Prabhu shanti usey deta hai
Verse 2Yeshu hai shanti ka raja
Yeshu hai shanti ka data
Yeshu hi khud shanti hai (2)
Shanti ka raajkumar
Yeshu hi khud shanti hai
Verse 3Ai shanti dhundne waalo
Yeshu ke paas tum chale aao
Apni chinta usi par dalo
Uski shanti ko tum apna lo
Yeshu hai shanti ka raja…
Verse 4Nabeeyon ne kaha hai
Yeshu shanti ka raajkumar
Adbhut parakrami
Anantkaal ka pita Yeshu hai
Verse 5Na avsar tumhe gavana hai
Yeh samay bada anmol hai
antim samay ab tumhara hai
Prabhu Yeshu tumhe bulata hai
Yeshu hai shanti ka raja.