Verse 1Tera hun ai rabb, sunta teri baat
Jo batati tera pyaar
Main imaan ke saath aata tere paas
Tera hi hun talabgaar (2)
Verse 2Rakh tu mujhko, mujhko, mujhko ai masih
Jahaan chashma kroos se hain khaas
Rakh tu mujhko, mujhko, mujhko ai masih
Apne zakhmi pahlu paas (2)
Verse 3Mujhko paak kar ab ki main tera kaam
Karun dil se thik aur khoob
Teri marzi paak mujhse poori ho
Meri marzi ho magloob;-
Verse 4Kaisi rahat khaas dil ko milti hai
Jab main jaata paak huzoor
Jab main dua mein aata tere paas
Tab tu karta hai masroor;-
Verse 5Tera meetha pyaar aur bhi jaanunga
Jab main jaunga aasmaan
Jab main dekhoonga tere chehre ko
Tab khush hogi meri jaan;-